Hasbi rabbi jallallah, ma fi qalbi ghairullah Noor-e-Muhammad sallalla, laailaha illallah Wo jo bilal-e-habshi hai, sarwar-e-deen ka pyara hai ...Duniya ke har aashiq ki aakhon ka wo tara hai Zulm hue kitne unpar seene par rakha patthar Lab par phir bhi jaari tha laailaha illallah Hasbi rabbi jallallah, ma fi qalbi ghairullah Noor-e-Muhammad sallalla, laailaha illallah Apni bahan se bole Umar (ra) ye to bata kya karti thi Mere aane se pahle kya chupke chupke padhti thi Bahan ne jab quran padha, sunke kalam-e-paak khuda Dil ye umar (r.a) ka bol utha laailaha illallah Hasbi rabbi jallallah, ma fi qalbi ghairullah Noor-e-Muhammad sallalla, laailaha illallah